Cobolt Speechmaster Urdu Talking Alarm Clock Instructions Aap apni gharhi kay waqt ko durust karnay say pehlay wazay kar lijiea kay iic kay oopar wala cover khol lejieay ta kay aap ko waqt set karnay walay button nazar aa jaaaeen. Iic may tee'n button samnay lagay huay hain, though qataro'n mei'n. Uoper wala dai'en taraf ka button aap ko waqt batay ga. Normal mode may nechay wala dayaa'n button aap ko batay ga kay alarm ya har ghantay ki report ko select kiya hai ya nahi. Gharhi kay waqt ko theek karnay kay liyae nichla bayaa'n button icstamal karain.har isctamal aap ko aglay function ki taraf lay jai ga aur jab function ki list khatam ho jai gi to phir ye dobara bilkul shroo walay function pay pohanch jai ga. Nichla bayaa'n "Setup" button aap ko haalia setting bataay ga. Nichla dayaa'n "Status" button haalia setting ko tabdeel kar day ga masallan ALARM Baand hai to ALARM on kar day ga, nao bajay say das bajay, Jab aik martaba setting adjust ho jai gi tow oopar wali qataar kay koi bhi button dabaa kar gharhi setting mode say bahar nikal aaeye gi. Aur nichla bayaa'n button aap ko alarm ka status batay gaa. Kuch makhsoos function apni ahemiat kay hisaab say arrange kiyae gaye hain.jo sab say aaam hain who pehle wazeh hon gay.bahot sarae y function khud bakhud aap ko hidayat daen gay jaisay waqt ko set karma waghaera lekin kuch khaas function hain jo'e ie'ss tarah isctamaal hotay hain Snooze On hai / Snooze Baand hai; , Snooze baand hai kay saath jab alarm bajay ga, to koi bhi button dabanay say alarm ruk jai gaa. Gharhi "ALARM BAAND KARI’EY’AE" bolay gi aur phir waqt batay gi. Snooze on hai button kay saath jab alarm bolay gaa aur jab aap button dabaayn gay to gharhi bolay gi "SNOOZE" aur waqt batay gi aur phir alarm dass minute baad dobara bajnay lagay ga.agar koi button paanch second kay andar dabay gaa tow gharhi snooze bolay gi aur alarm aglay din tak band ho jai ga. Awaaz: Awaaz aur alarm ki Volume setting alehda alehda ki jaa sakti hai. Alarm ki awaaz: aap chh’aa’ee mukhtalif alarm ki awaz muntakhib kar saktay hain. Waqt ki setting: jab bhi aap gharhi ko hum ahang kartay hain, awaz wali gharhi ko ya gharhi kay waqt ko to'w minute set karnay par seconds khud bakhud sifar par set ho jatay hain. Aap ki gharhi aik saat asharia paanch volt , aur aik sao pachas milli ampere ka bijli kay AC adapter ya nau volt PP3 battery say chalay gi. Aur yeh battery peeche ki bayean janib walay khanay maein lagti hai. Cover kay andar ki jaanib aik choty see khala bani hui hai jis ko thora sa bayan janib uthanay sey cover khul jata hai. Iis baat ko dhayan may rakhiye kay battery tabdeel karnay sey pehley aur baa'd main bee'ce second tak koi button naa daba raeh jaey.is tarah battery tabdeel karnay sey gharhi ki koi setting kharab nahi ho gi.aur agar koi information gharhi ki kho jati hai, tab gharhi aap ko "GHARHI RESET KARAE’N" bol kar aa'gah karay gi. Hum aap ko tajweez karain gay kay aap alkaline battery istamal karain jo zyada arsay tak chalti hai. Agar aap ki gharhi bijli sey chal rahi hai aur ghari aap to kuch bol kar bataa rahi ho, tow us waqt aap bijli kay adapter ko mat nikalein ya lagaein,warna ghari lock ho sakti hai. Agar aiasa ho, tow aap battery nikal kar phir lagain aur ghari ko reset karaein.